Philosophical......

Kal kya hua, soch ke kyun hairaan hai,
Kal kya hoga, soch ke kyun pareshan hai;
Na us kal ko tu badal sakega,
Na is kal pe tera bas chalega.

Kismein kitna dum hai, Ye jaan ke kya hoga,
Mujhmein itna dum hota, Ye soch ke kya hoga;
Na tu kisi damdaar se do do hath karne vala hai,
Na khayali pulao pakakar kuch hasil karne wala hai.

Tere jeevan ka lakshya bas itna hona chahiye,
Tujhe apne aaj se shikayat nahin honi chahiye;
Kisi aur ki unchai se teri kimat nahin ghat jayegi,
Karmpath par chala chal, Tujhe teri manjil mil jayegi..

No comments: