Poems...

An amateur starts writing a poem.....

An Insomanic.......
"Soya nahi kaye raaton se, Is dil main tum hi samaye ho
Her aahat per aisa lagta hai, Ki shayad tum aaye ho"

ek mashkhara...
"Jahaaan dekho wahaan ishq kay bimaar baithe hain
Laakho mar chukay, saikro taiyyar baihte hain"

ek jindadil...
"Zindagi khushi ka hai naam, isay ronay main zaya na kijiye
Husiye khud bhi aur sang apnay, dusro ko bhi hasaya kijiye"

ek sharabi....
"Baat chali teri aankhon say, Ja pahunchi paimanay tak
Kheech rahi hai teri ulfat, Aaj mujhe maikhaanay tak"

ek kavi...
"Jis shaam mere lab per tera naam na aaye,
Khuda kare aisi shaam na aaye....
Aye jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin,
Afsaana likhoon aur tera naam na aaye"

ek bahanebaaj....
"Tera diwana hoon, inkaar nahi
Kaise keh doon kay tujhse pyar nahi
Kuch shararat teri aankho ki bhi hai
Main akela to gunehgaar nahi"

ek ashique
"Musqurate Hai To Bijliya Gira Dete Hein
Baat Karte Hein To Deewana Bana Dete Hein
Husan walo Ki Nazar Kam Nahi Kyamat Se
Aag Pani Me Vo Nazaro Se Laga Dete Hein"

Then...there are some who are greats of poetry..... who write with an authority whatever they choose to write....like "kavi pradeep" .here are some of his gems

"yadon mein kabhee aap bhi khoyae hongae,
khulee ankon se kabhee aap bhi soyae hongae,
mana hasna hai aadath gum chupanae ki,
par haste-haste kabhee aap bhi royae hongae!!!"

"faslae mita kar aapas mein pyar rakhnaa
dosti ka yeh ristha humesha yun hi barkaraar rakhna
bichad jaye kabhi aap se hum
anakho mein humesha humara intezaar rakhna!!"

"kuch nasha apki baton ka hai,
kuch nasha dheemi barsat ka hai,
hamne aap yunhi sharabi math kahiyae
yeh dil par asar apkae mulaqat ka hai!!"

"jindagi kisi ki amanat nahi hoti,
manant mein kabhi qayamath nahi hoti,
dil bhi sochkar lagana ae dost
ishq ki quaid mein kabhi jamanath nahi hoti!!"

"jab bhi tanhai ne unko sataya hoga,
tab tab unko mera khayal aaya hoga
gum ye nahi hai ki woh bhool gayae humko
gum yeh hai ki ro ro ke bhulaya hoga!!"

"ulfat ka akher yahi dastur hota hai,
jisae chaho woh hi apnae se dur hota hai,
dil tut kar bhi bikartha hai is kedar,
jaise koyee kaanch ka khilona chur-chur hota hai!!"


"usko chaha bhi tho izhaar karna na aaya,
kat gayi umar saari humein pyar karna na aaya
usnae manga bhi agar kuch tho jindagi mangi
aur humne inkaar karna na aaya!!"

"gum mein hasane walon ko kabhi rulaya nahi jatha
lehron se pani ko kabhi hataya nahi jatha
honewale ho jate hai kudh hi dil se apnae
kisi ko kehkar apna banya nahi jatha!!"

"unhe adath hai zakhm dene ki,
apni to fitrath hai gum chupane ki,
ab tho adath si pad gayi hai ansu pee jaane ki
kya haseen saza di hai zalim se dil lagane ki!!"

"Aaj socha ki jawab kya bheju,
Aap jaise logo ko khitab kya bheju,
Koi phool ho to mujhe maloom nahi,
Jo khud gulab ho usey gulab kya bheju."

"Hasino ne hasin bankar gunah kiya,
Auro ko to thik ham ko bhi tabah kiya,
Pesh kiya jab gazlo me unki bevafai ko,
Auro ne to thik unhone bhi WAH WAH kiya."

"main jaanta hoon kee yeh khawaab zhuthe hain aur,
yeh kusheeyaan adhuree hai,
magar zindaa rahane ke leeye mere dost,
kuchch galatphamiyan zaruree hain."


1 comment:

Rahul said...

so beautifully said. amazing man. keep it up. tell me whenever you put anything new